ḳhushiyāñ tamām ġham meñ vo tabdīl kar gayā
āḳhir mire ḳhulūs kī tazlīl kar gayā
vo ek shaḳhs dostoñ mar to gayā magar
raushan jahāñ meñ pyaar kī qindīl kar gayā
likh kar vafā kā naam vo saada varaq pe aaj
puurī har ik kitāb kī tafsīl kar gayā
sho.ala-bayāñ thā kitnā ḳhatarnāk dosto
lafzoñ kā zahr jism meñ tahlīl kar gayā
'saifī' kī aaj maut pe dushman bhī kah uThe
achchhā thā vo hayāt kī takmīl kar gayā