kyā pūchhte ho dard ke māroñ kī zindagī
ya.anī falak ke Dūbte tāroñ kī zindagī
phailā.ūñ haath jā ke bhalā kis ke sāmne
ham ko nahīñ gavārā sahāroñ kī zindagī
sāhil pe aa ke mauj-e-talātum se bārhā
barbād ho ga.ī hai hazāroñ kī zindagī
aatī hai yaad kyuuñ mujhe rah rah ke aaj bhī
gulshan ke dil-fareb nazāroñ kī zindagī
hai āñdhiyoñ kā ḳhauf na hai Dūbne kā Dar
mujh ko nahīñ pasand kināroñ kī zindagī
kis darja ḳhush-gavār hai tanhā.iyoñ meñ aaj
'saifī' chamakte chāñd sitāroñ kī zindagī