Tabish Mehdi

bala se martabe unche na rakhna

Tabish Mehdi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1951
balā se martabe ūñche na rakhnā
kisī darbār se rishte na rakhnā
javānoñ ko jo dars-e-buzdilī deñ
kabhī hoñToñ pe vo qisse na rakhnā
agar phūloñ kī ḳhvāhish hai to sun lo
kisī kī raah meñ kāñTe na rakhnā
kabhī tum sā.iloñ se tañg aa kar
gharoñ ke band darvāze na rakhnā
paḌosī ke makāñ meñ chhat nahīñ hai
makāñ apne bahut ūñche na rakhnā
nahīñ hai ghar meñ maal o zar to kyā ġham
virāsat meñ magar qarze na rakhnā
ra.īs-e-shahr ko maiñ jāntā huuñ
koī ummīd tum us se na rakhnā
bahut be-rahm hai 'tābish' ye duniyā
ta.alluq is se tum gahre na rakhnā
Top Urdushayar.com