Tabish Mehdi

dasht-e-tanhai baadal hawa aur main

Tabish Mehdi

Pratapgarh, Uttar pradesh, India

1951
dasht-e-tanhā.ī bādal havā aur maiñ
roz o shab kā yahī silsilā aur maiñ
ajnabī rāstoñ par bhaTakte rahe
ārzūoñ kā ik qāfilā aur maiñ
donoñ un kī tavajjoh ke haqdār haiñ
mujh pe guzrā thā jo sānehā aur maiñ
saikḌoñ ġham mire saath chalte rahe
jis ko chhoḌā usī ne kahā aur maiñ
raushnī āgahī aur zinda-dilī
in harīfoñ se thā vāstā aur maiñ
der tak mil ke rote rahe raah meñ
un se baḌhtā huā fāslā aur maiñ
jab bhī sochā to bas sochtā rah gayā
zindagānī tirā marhalā aur maiñ
tanz dushnām lānat adāvat hasad
in rafīqoñ kā saaya rahā aur maiñ
Top Urdushayar.com