yādoñ kī qindīl jalānā kitnā achchhā lagtā hai
ḳhvāboñ ko palkoñ pe sajānā kitnā achchhā lagtā hai
terī talab meñ patthar khānā kitnā achchhā lagtā hai
ḳhud bhī ronā sab ko rulānā kitnā achchhā lagtā hai
ham ko ḳhabar hai shahr meñ us ke sañg-e-malāmat milte haiñ
phir bhī us ke shahr meñ jaanā kitnā achchhā lagtā hai
jurm-e-mohabbat kī tārīḳheñ sabt haiñ jin ke dāman par
un lamhoñ ko dil meñ basānā kitnā achchhā lagtā hai
haal se apne begāne haiñ mustaqbil kī fikr nahīñ
logo ye bachpan kā zamānā kitnā achchhā lagtā hai
aaj kā ye uslūb-e-ġhazal bhī qadr ke qābil hai lekin
'mīr' kā vo andāz purānā kitnā achchhā lagtā hai
qadr-shanās-e-sher-o-suḳhan hote haiñ jahāñ par ai 'tābish'
us mahfil meñ sher sunānā kitnā achchhā lagtā hai