Anjum Siddiqui

hayat-e-raegan hai aur main hun

Anjum Siddiqui

Bahraich, Uttar pradesh, India

1945
hayāt-e-rā.egāñ hai aur maiñ huuñ
ye vaqt-e-imtihāñ hai aur maiñ huuñ
mirī tanhā.ī kā aalam na pūchho
ḳhayāl-e-dostāñ hai aur maiñ huuñ
laboñ par mohr-e-ḳhāmoshī hai lekin
nigāhoñ kī zabāñ hai aur maiñ huuñ
mirī taqdīr mujh se bad-gumāñ hai
nasīb-e-dushmanāñ hai aur maiñ huuñ
jigar meñ soz hai aur dil meñ mere
mirā dard-e-nihāñ hai aur maiñ huuñ
garebāñ chaak laT uljhī huī haiñ
baḌā dilkash samāñ hai aur maiñ huuñ
falak vaale mujhe pahchānte haiñ
ye merī kahkashāñ hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com