Ehsan Akbar

har ek gam pe had har qadam dar-o-diwar

Ehsan Akbar

1938
har ek gaam pe had har qadam dar-o-dīvār
fazā-e-shahr banī besh-o-kam dar-o-dīvār
yahī the sahn-e-fazā aur yahī ghar āñgan thā
tum aa.e ho to hue muhtsham dar-o-dīvār
ham apne dard havāoñ se bhī nahīñ kahte
uThā.e phirte haiñ ḳhud apne ġham dar-o-dīvār
ye reg-zār hai aur is kī apnī duniyā hai
yahāñ hamesha rahe kam se kam dar-o-dīvār
havā vatan kī palaT aa.ī bādbān ke saath
vahī yahāñ bhī fazā āshram dar-o-dīvār
nazar ke aage nahīñ par nazar meñ zinda haiñ
schōl baste gharauñde qalam dar-o-dīvār
ga.e jahāñ bhī vahīñ shahr bas gayā 'ehsān'
azal se apne rahe ham-qadam dar-o-dīvār
Top Urdushayar.com