hosh meñ aa.uuñ to sochūñ abhī dekhā kyā hai
phir ye pūchhūñ ki ye pardā hai to jalva kyā hai
donoñ āñkhoñ meñ hai ik jalva to do āñkheñ kyuuñ
putliyoñ kā ye tamāshā sā vagar na kyā hai
to ne pahchān liye apnī ḳhudā.ī ke nuqūsh
ā.īna jis ne ta.āruf ye karāyā kyā hai
zindagī-bhar paḌhī taqdīr kī ḳhufiya tahrīr
lauh-e-marqad se paḌhūñ aage kā likkhā kyā hai
maiñ huuñ taḳhlīq tirī soz kā ham-ma.anī huuñ
tū hai ma.anī to tirā lafz se rishta kyā hai
har-nafas peT kā īñdhan hai yahāñ par ai fan
hai jo hāsil tirā duniyā hī to duniyā kyā hai