phir mujhe kaun-o-makāñ dasht-o-bayābāñ se lage
rū-ba-rū kaun thā jo ā.īne hairāñ se lage
kuchh thī kam-hauslagī apnī thī kuchh be-sabrī
kuchh mujhe ishq ke hañgāme bhī āsāñ se lage
vaqt kaTtā rahā thā ahd-e-huzūrī kī firāq
zaḳhm lagte rahe chāhe kisī unvāñ se lage
ziist ham haar ke bhī haath milā.eñ tujh se
apne ye hausle shāyad tujhe arzāñ se lage
zindagī mere izāfe mujhe vāpas kar de
jhaaḌ de ḳhaar jo nāhaq tire dāmāñ se lage