Ehsan Akbar

aaina aaina kyun kar dekhe

Ehsan Akbar

1938
aa.ina aa.ina kyuuñ kar dekhe
apne hī daaġh nazar bhar dekhe
tum ne jalve ko bhī chhūnā chāhā
ham ne ḳhushbū meñ bhī paikar dekhe
aap insāñ huā sūrat kā asiir
shīsha TuuTe to sikandar dekhe
ham ne āvāz lagā.ī sar-e-tūr
ruup jab shauq se kamtar dekhe
jalva-e-tūr bajā thā lekin
aañkh mushtāq thī paikar dekhe
dard ko ḳhauf bikhar jaane kā
aañkh ko shauq ki baḌh kar dekhe
mustaqil sab kā pata ek hī thā
kis ne faġhfūr-o-sikandar dekhe
Top Urdushayar.com