pahle to faqat us kā talabgār huā maiñ
phir ishq meñ ḳhud apne giraftār huā maiñ
āñkhoñ meñ basā jab bhī koī ajnabī chehra
ik lazzat-e-be-nām se do-chār huā maiñ
maiñ yūsuf-e-sānī na 'zuleḳhā' na vo darbār
kyā soch ke rusvā sar-e-bāzār huā maiñ
ik umr bagūloñ ke ta.āqub meñ guzārī
phir apnī hī parchhā.īñ se bezār huā maiñ
maiñ munsif-e-daurāñ na faqīhoñ meñ huuñ shāmil
kis jurm meñ be-jubba-o-dastār huā maiñ
haq-goī kī pādāsh meñ mansūr kī sūrat
har daur meñ vaqf-e-rasan-o-dār huā maiñ
maiñ apne hī hone se gurezāñ huā 'ḳhusrav'
iqrār kī sūrat kabhī inkār huā maiñ