ishq us se kiyā hai to ye gar yaad bhī rakkho
apne liye har din na.ī uftād bhī rakkho
ḳhud apne liye aap sazā bhī karo tajvīz
munsif bhī bano ujratī jallād bhī rakkho
jo haath kare baḳhiya-garī chāk-e-jigar kī
us haath meñ ab ḳhanjar-e-bedād bhī rakkho
ham log to har-hāl meñ rahte haiñ sadā ḳhush
jo ḳhush nahīñ rahte unheñ nāshād bhī rakkho
mumkin ho to is anjuman-ārā.ī meñ taaza
ik zaḳhm-e-dil-e-ḳhānamāñ-barbād bhī rakkho
jis shaḳhs ne dī likh ke tumheñ apnī asīrī
us shaḳhs ko ik pal kabhī āzād bhī rakkho
ye kār-e-jahāñ ab to sameTā nahīñ jaatā
behtar hai ki apnā koī ham-zād bhī rakkho
shīshe meñ utāro kisī nāzuk sī parī ko
qabze meñ koī apne parī-zād bhī rakkho
ye ghar koī mehmān-sarā to nahīñ jis meñ
ik pal bhī na Thahro use ābād bhī rakkho
aatā hai hameñ jaañ se guzarne kā amal ḳhuub
tum chāho to teġh-e-sitam-ījād bhī rakkho
ye ziist jū-e-shīr hai ai 'ḳhusrav'-e-sānī
lāzim hai tumheñ taisha-e-farhād bhī rakkho