Firoz Natiq Khusro

ho gae yar parae apne

Firoz Natiq Khusro

Badayun, Uttar pradesh, India

1944
ho ga.e yaar parā.e apne
jism apne haiñ na saa.e apne
pher liiñ us ne bhī nazreñ āḳhir
vaqt par kaam na aa.e apne
vo jo badlā to zamāna badlā
rañg duniyā ne dikhā.e apne
ajnabī lagtī hai apnī sūrat
ho ga.e naqsh parā.e apne
kiiñ shumār apnī jafā.eñ us ne
jurm sab ham ne ginā.e apne
har ghaḌī svāñg rachāyā ham ne
us ne sau rañg dikhā.e apne
e'tibār aa.e bhī kaise us kā
baat jo dil ko na bhaa.e apne
kyā kaheñ mahv-e-safar haiñ kab se
jism kā bojh uThā.e apne
muntazir bazm-e-suḳhan thī 'ḳhusrav'
sham.a kab sāmne aa.e apne
Top Urdushayar.com