Firoz Natiq Khusro

main mauj mauj hun meri bisat dariya hai

Firoz Natiq Khusro

Badayun, Uttar pradesh, India

1944
maiñ mauj mauj huuñ merī bisāt dariyā hai
mirā qabīla samundar hai zaat dariyā hai
na vahm hai na gumāñ hai na ḳhvāb hai na ḳhayāl
maiñ chal rahā huuñ mire saath saath dariyā hai
koī to hogā sabab tishna-lab huuñ maiñ varna
barahna teġh hai aur chand haath dariyā hai
banā le aur bhī kāġhaz kī kashtiyāñ beTī
abhī to hoñge ka.ī hādsāt dariyā hai
ḳhudā ḳhudā na pukāregā nā-ḳhudā kab tak
bhañvar hai taak meñ kīna-sifāt dariyā hai
jo shaḳhs Duub rahā hai use bhī ġhaur se sun
guhar hai us kā har-ik lafz baat dariyā hai
na bāñdh raḳht-e-safar pahle soch le 'ḳhusrav'
shikasta naav añdherī hai raat dariyā hai
Top Urdushayar.com