Firoz Natiq Khusro

dil-bhitar barsat hui hai

Firoz Natiq Khusro

Badayun, Uttar pradesh, India

1944
dil-bhītar barsāt huī hai
yuuñ bhī guzar auqāt huī hai
band darīche suunī galiyāñ
lauT chalo ghar raat huī hai
shart lagā kar jab bhī khele
khel meñ ham ko maat huī hai
biit ga.iiñ lo hijr kī ghaḌiyāñ
ḳhatm shab-e-zulmāt huī hai
is kūche aa nikle jab bhī
saath meñ ik bārāt huī hai
jis ne bhī sach bolā baḌh kar
ḳhilqat us ke saath huī hai
rūThe rūThe kyuuñ rahte ho
kuchh to kaho kyā baat huī hai
itnā baḌā ilzām hai ham par
itnī zarā sī baat huī hai
hifz bayāz-e-mīr hai jis ko
us ko atā sauġhāt huī hai
qufl-e-tilism-e-harf khulā hai
sharh-e-kitāb-e-zāt huī hai
vaqt-e-nuzūl-e-sher hai 'ḳhusrav'
sub.h ga.ī ab raat huī hai
Top Urdushayar.com