Firoz Natiq Khusro

jis ghaDi rah-e-pur-Khaar maine chuni sath usne bhi azm-e-safar kar liya

Firoz Natiq Khusro

Badayun, Uttar pradesh, India

1944
jis ghaḌī rāh-e-pur-ḳhār maiñ ne chunī saath us ne bhī azm-e-safar kar liyā
sub.h sūraj nikalne se pahle chale, jis jagah ho ga.ī raat ghar kar liyā
dam-ba-dam ek dīvār uThtī ga.ī ik chhurī merā siina khurachtī ga.ī
jaise jaise ghuTan shahar kī baḌh chalī maiñ ne dil meñ nayā ek dar kar liyā
ik sadā mere kānoñ meñ aatī rahī ik balā naam le kar bulātī rahī
muḌ ke dekhā na maiñ ne kabhī kabhī maiñ jau jo safar kiyā be-ḳhatar kar liyā
zindagī apnī guzrī hai dukh bāñTte, baaḌh kāñToñ kī har har qadam chhāñTte
hijr kī fasl palkoñ tale kāTte jo bhī koh-e-girāñ thā vo sar kar liyā
un ke aane kī phailī ḳhabar chār-sū ā.īne mah jabīnoñ ke haiñ rū-ba-rū
maiñ ne bhī un ke chehre pe Daalī nazar raushnī ko asīr-e-nazar kar liyā
log aate haiñ merā pata pūchhte mere sheroñ ko paḌh kar tujhe DhūñDte
tujh pe mere suḳhan kā na jaadū chalā maiñ ne duniyā duniyā ko asar kar liyā
hāsidoñ ke maiñ ta.anoñ kā suntā rahā, reza reza vajūd apnā chintā rahā
bārish-e-sañg meñ bhī na pīchhe haTā, maiñ ne us dil ko patthar kā ghar kar liyā
gum-shuda rāstoñ kā pata haath meñ, biitī yādoñ kā basta liye saath meñ
maiñ ne sahrā ko apnā ta.āruf kiyā aur qalam apnā dast-e-hunar kar liyā
maiñ ne ḳhud ko mahloñ meñ bāñTā nahīñ, maiñ ne ḳhānoñ meñ logoñ ko chhāñTā nahīñ
mujh ko dād-e-suḳhan se ġharaz ab nahīñ maiñ ne harf-e-suḳhan mo'atabar kar liyā
umr baḌhtī ga.ī juuñ juuñ māñ-bāp kii, āmad-o-raft mahdūd hotī ga.ī
baiThe baiThe dar-o-bām takte rahe bolnā-chālnā muḳhtasar kar liyā
dhīre dhīre chaTTāneñ pighaltī rahīñ qatra qatra samundar nigaltī rahīñ
vo jo aañsū na Dhalkā kabhī gaal par, us ko dil ke sadaf ne guhar kar liyā
baap kī DaañT bhī mujh ko aisī milī jaise maañ kī mohabbat kī misrī Dalī
qufl dil kī tijorī ko maiñ ne kiyā aur mahfūz ye māl-o-zar kar liyā
mausamoñ ke ġhazab se bachāte hue, apnī bāhoñ kā halqa banāte hue
dukh uThā.e jahāñ merī maañ ne bahut, apne āñgan kā paudā shajar kar liyā
maiñ ne bachpan guzārā hai apnā yahāñ us ke saa.e meñ pal kar huā maiñ javāñ
kaise bhūlūñ maiñ 'ḳhusrav' ye kachchā makāñ, us makāñ ne mire dil meñ ghar kar liyā
Top Urdushayar.com