kyā ḳhabar thī ki tire saath ye duniyā hogī
merī jānib mirī taqdīr hī tanhā hogī
aarzū kī ye sazā hai ki zamāna hai ḳhilāf
un se milne kī ḳhudā jaane sazā kyā hogī
marmarīñ jism kā charchā lab-o-ruḳhsār kī baat
merī koī to ġhazal un kā sarāpā hogī
ashk-e-ġham piine meñ taklīf to hotī hai magar
sochtā huuñ ki mohabbat tirī rusvā hogī
nāma-bar bhī hai taraf-dār ab un kā 'anjum'
mere hālāt kī ab un ko ḳhabar kyā hogī