tamām shahr meñ tīra-shabī kā charchā thā
ye aur baat ki sūraj ufuq pe niklā thā
ajiib vaj.h-e-mulāqāt thī mirī us se
ki vo bhī merī tarah shahr meñ akelā thā
maiñ sab samajhtī rahī aur muskurātī rahī
mirā mizāj azal se payambaroñ sā thā
maiñ us ko kho ke bhī us ko pukārtī hī rahī
ki saarā rabt to āvāz ke safar kā thā
maiñ gul-parast bhī gul se nibāh kar na sakī
shu.ūr-e-zāt kā kāñTā bahut nukīlā thā
sab ehtisāb meñ gum the hujūm-e-yārāñ meñ
ḳhudā kī tarah mirā jurm-e-ishq tanhā thā
vo tere qurb kā lamha thā yā koī ilhām
ki us ke lams se dil meñ gulāb khiltā thā
mujhe bhī mere ḳhudā kulfatoñ kā ajr mile
tujhe zamīñ pe baḌe karb se utārā thā