Yusuf Azmi

kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab

Yusuf Azmi

Hyderabad, Telangana, India

kitnī hasīn lagtī hai chehroñ kī ye kitāb
satroñ ke biich dekhiye phailā huā azaab
chīḳhoñ kā karb naġhmoñ ke sho.ale varaq varaq
ehsās ban rahā hai javāñ dard kī kitāb
mīzān-e-dil meñ tauliye phūloñ se har umiid
lamhoñ meñ ghul rahā hai tamannāoñ kā shabāb
chehroñ pe aaj kitne naqāboñ kā bojh hai
zaḳhmī hai ā.īnoñ ke samundar meñ har hijāb
ye zindagī hai sāyoñ kā bikhrā huā kafan
dasht-e-safar hai ḳhvāb kā phailā huā sarāb
Top Urdushayar.com