Ataul Hasan

kisi aur ko main tere siwa nahin chahta

Ataul Hasan

Khurrianwala, Punjab, Pakistan

1989
kisī aur ko maiñ tire sivā nahīñ chāhtā
so kisī se terā muvāzana nahīñ chāhtā
koī kund zehn qabīl se hai mire ḳhilāf
ki vo raushnī kā hī irtiqā nahīñ chāhtā
tū hasīn hai so muġhālate meñ na ḳharch ho
mire dost dil se tujhe zarā nahīñ chāhtā
tirā vasl chāhe ragoñ meñ zahr utaar de
tire hijr kā kabhī azhdahā nahīñ chāhtā
abhī dil ko maazī kī sohbatoñ kā malāl hai
na.e shahr meñ koī āshnā nahīñ chāhtā
ye parind peḌ charāġh to mire saath haiñ
mirā ḳhāndān mirī razā nahīñ chāhtā
Top Urdushayar.com