fāḳhta shāḳh se uḌte hue ghabrā.ī thī
jab parindoñ ke bilakne kī sadā aa.ī thī
aable merī zabāñ par haiñ to hairat kaisī
maiñ ne ik baar tirī jhūTī qasam khaa.ī thī
kab ye sochā thā barābar se guzar jā.egā
merī jis shaḳhs se barsoñ kī shanāsā.ī thī
ab vo kahtā hai ki zanjīr banī mere liye
us ke pairoñ meñ jo paa.el kabhī pahnā.ī thī
vaqt badle to har ik rishta badaltā hai 'hasan'
dil meñ dīvār kahāñ pahle mire bhaa.ī thī