Ataul Hasan

waise to is ghar ko usne chahe kam KHush-haali di

Ataul Hasan

Khurrianwala, Punjab, Pakistan

1989
vaise to is ghar ko us ne chāhe kam ḳhush-hālī dī
beTā bar-ḳhurdār diyā aur beTī hausle vaalī dī
ġhusse meñ donoñ ne ik duuje ke haath ko jhaTkā thā
aur ab soch rahe haiñ pahle kis ne kis ko gaalī dī
kuchh maiñ ḳhud bhī har ik shaḳhs kī bātoñ meñ aa jaatā huuñ
kuchh vaise bhī us ne mujh ko sūrat bholī-bhālī dī
varna kaam thā merā to phūloñ se rizq kamāne tak
phir us ne ik baaġh kī mere hāthoñ meñ rakhvālī dī
dhuup baḌhī to vo bhī apne apne paañv khīñch ga.e
maiñ ne apne hisse kī jin peḌoñ ko hariyālī dī
dil ne merī ek sadā par donoñ hāthoñ daan kiyā
jab zambīl mohabbat ne jazbāt se mujh ko ḳhālī dī
tū bhī maan gayā ai dost ki dariyā sirf Dubotā hai
mere baare meñ duniyā ne tujh ko ḳhām-ḳhayālī dī
pahle merī āñkhoñ se sarmāya chhīnā nīñdoñ kā
badle meñ phir hijr ne merī āñkhoñ ko ye laalī dī
vo hī degā mujh ko phir ta.amīr uThāne kī himmat
jis ne 'hasan' in bām-o-dar ko itnī ḳhasta-hālī dī
Top Urdushayar.com