suntā rahā hai aur sunegā jahāñ mujhe
yuuñ rakh gayā hai koī sar-e-dāstāñ mujhe
suqrāt kyā masīh kyā zikr-e-husain kyā
maazī sunā rahā hai mirī dāstāñ mujhe
be-nūr mere ba.ad huī bazm-e-kā.ināt
tum to batā rahe the bahut rā.egāñ mujhe
maujoñ se ek umr rahā ma.arka magar
ġharqāb kar ga.iiñ mirī gahrā.iyāñ mujhe
kis ko gumāñ thā vaqt kā Dhalte hī āftāb
aa kar Darā.eñgī mirī parchhā.iyāñ mujhe
'asrār' un ke lab to khuleñ kuchh javāb meñ
nā bhī agar kaheñge to vo hogī haañ mujhe