Asrarul Haq Asrar

aisi nai kuchh baat na hogi

Asrarul Haq Asrar

aisī na.ī kuchh baat na hogī
ḳhatm-e-sahar tak raat na hogī
merī jahāñ par baat na hogī
terī bhī auqāt na hogī
kaise bujheñge jalte masā.il
khul kar jab tak baat na hogī
ahl-e-sahar is darja magan haiñ
jaise kabhī ab raat na hogī
mere nahīñ to ġhair ke ho lo
tanhā basar auqāt na hogī
sūraj kā jalnā bujhnā kyā
ḳhatm ye kaalī raat na hogī
dil kā safar sho.aloñ kā safar hai
shabnam kī barsāt na hogī
bāzī-e-dil 'asrār' agar hai
maat bhī terī maat na hogī
Top Urdushayar.com