sīna-e-sañg meñ DhūñDhtā hai gudāz
de ḳhudā dil ko ik aur umr-e-darāz
ham dikhānā bhī chāheñ agar kuchh ko kuchh
ā.inoñ se kareñ kis tarah sāz-bāz
ik taraf ḳhvāb hai ik taraf zindagī
dekhiye kaun hotā hai ab sarfarāz
tere ġham se milī dil ko vo zindagī
tujh se bhī kar diyā hai hameñ be-niyāz
is tarah merī āñkhoñ se aañsū bahe
be-vuzū hī adā ho ga.ī har namāz
rū-ba-rū us ke dil hī ko le kar chaleñ
bah chalegā to ḳhuuñ baj uThegā to saaz
ye jhuke yā kaTe bas tire vāste
mere kāñdhoñ ko de vo sar-e-imtiyāz
un se bhī dil ko 'asrār' kaise kahīñ
raaz ko to ba-har-hāl rakhnā hai raaz