Asrarul Haq Asrar

kaise rafu hon chaak-e-gareban main bhi sochun tu bhi soch

Asrarul Haq Asrar

kaise rafū hoñ chāk-e-garebāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
apne apne dard kā darmāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
jis ke liye ik umr se lambī kaaTī ham ne kaalī raat
sub.h vo kyuuñ hai shām-ba-dāmāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
mere lahū se naqsh huī hai merī hī tasvīr magar
kis kā hai ye shauq-e-nigārāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
roz-afzūñ hai merī tamannā aur tirā begāna-pan
is be-rabt sī nazm kā unvāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
zaḳhmoñ ke ḳhūñ-rañg ujāle mujh ko hī marġhūb sahī
kaun hai in zaḳhmoñ meñ farozāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
ghar kī muñDeroñ tak barpā hai dīvālī kā saarā jashn
kaise ho andar bhī charāġhāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
dil ne bhī thak-hār ke āḳhir dar-darvāze band kiye
kaun ho ab is ġham kā nigahbāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
un ke aage phailā huā thā dast-e-tamannā ai 'asrār'
yā ki tah-e-ḳhanjar thī rag-e-jāñ maiñ bhī sochūñ tū bhī soch
Top Urdushayar.com