Thahre to kahāñ Thahre āḳhir mirī bīnā.ī
har shaḳhs tamāshā hai har shaḳhs tamāshā.ī
ye husn kā dhokā bhī dil ke liye kaafī thā
chhūne ke liye kab thī mahtāb kī ūñchā.ī
ā.īne kī hājat se inkār nahīñ lekin
is darja na thā pahle dastūr-e-ḳhud-ārā.ī
sarmāya-e-dil āḳhir aur is ke sivā kyā hai
har dard se rishta hai har ġham se shanāsā.ī
patthar sā haTe dil se kuchh mujh ko bhī kahne do
go talḳh to guzregī tum ko mirī sachchā.ī
shikva na kareñ ham bhī bharpūr tavajjoh kā
dekhā na karo tum bhī har zaḳhm kī gahrā.ī
duniyā se nirālā hai 'asrār' chalan apnā
tanhā.ī meñ mahfil hai mahfil meñ hai tanhā.ī