Hadis Salsal

sar-e-nigah bisat-e-jahan to kuchh bhi nahin

Hadis Salsal

Haranpur, Punjab, Pakistan

1995
sar-e-nigāh bisāt-e-jahāñ to kuchh bhī nahīñ
jahān-e-ḳhud-nigar-o-kaj-gumāñ to kuchh bhī nahīñ
darūd bar-sar-e-karb-e-taġhayyur-e-mausam
ġham-e-siyāsat-e-ahl-e-jahāñ to kuchh bhī nahīñ
tamām asl-e-suḳhan dād-e-ḳhāliq-e-ḳhāma
kamāl-e-mubtadī-e-nīm-jāñ to kuchh bhī nahīñ
tamām husn-e-suḳhan ḳhūbī-hā-e-nukta-varāñ
jamāl-e-dīda-e-giryā-kunāñ to kuchh bhī nahīñ
ba-pesh-e-jur.at-e-tark-e-ummīd-e-yās fazā
bisāt-e-ālam-e-ummīd-e-āñ to kuchh bhī nahīñ
ummīd-vār ruḳh-e-dīda-baḳhs-e-ā.īna-hā
qarīb-o-dūr nigah juz gumāñ to kuchh bhī nahīñ
sukūt-e-arz-o-samā parda-hā-e-shorish-e-dil
khulā ki ġhalġhala-e-al-amāñ to kuchh bhī nahīñ
sar-e-basīt-e-jamāl-e-mujassam-e-ijmāl
tahayyur-e-nigah-e-āshiqāñ to kuchh bhī nahīñ
sukūn-e-ḳhvāb-e-fazā ranj-e-rā.egānī-e-umr
zayān-e-bā.is-e-sad-hā ziyāñ to kuchh bhī nahīñ
shu.ūr-e-chashm-o-dil-o-jāñ nisārī-e-āshiq
agar hai ḳhāliq-e-nām-o-nishāñ to kuchh bhī nahīñ
safīr-e-ḳhush-ḳhabar-e-kū-e-yār-e-nā-maujūd
nahīñ vajūd-e-fareb-e-gumāñ to kuchh bhī nahīñ
ḳhamoshī-e-rah-e-pur-samt-e-yak musāfir-e-jū
nahīñ hai nāla-e-pā-bast-gāñ to kuchh bhī nahīñ
salāh-e-ḳhush-guzarāñ qātil-e-tamannā hai
magar vaqār-e-tamannā yahāñ to kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com