dīda-e-kam-sifāt andar se
tū ne dekhī hai raat andar se
ḳhvāhish-e-nāra-e-zafar-yābī
mujh ko honī hai maat andar se
ḳhair-maqdam na kar urūs-e-chashm
luT chukī hai barāt andar se
ai fareb-e-barūn-e-mausam-zard
sabz the saare paat andar se
apne ThanDe badan ko chhūtā huuñ
jūñhī jalte haiñ haat andar se
hasrat-e-dād-e-justujū na rahī
aisī bigḌī hai baat andar se
haa.e vo ghar ki jis meñ pesh aa.e
dastkī hādsāt andar se
sharar-afshānī-e-bayāz-e-ġhazal
kyā hue kāġhzāt andar se
surma.ī ḳhushbuoñ ke nashsha hai
raqs-farmā hai raat andar se
koī lutf-e-ajab ki hai masdūd
jihat-e-sad-jihāt andar se