ġham-zada maiñ bhī nahīñ aur ġhamīñ tū bhī nahīñ
ab to pāband-e-vafā maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
maiñ bhī uftāda-e-andāza-e-tamannā-e-hayāt
ya.anī doshīza-e-firdaus-e-barīñ tū bhī nahīñ
ai shafaq-ḳhezī-e-ijmāl-e-sahar sad-afsos
aks-e-tārīkī-e-shab-hā-e-hazīñ tū bhī nahīñ
maiñ ki ham-zād-e-nashīnān-e-harīm-e-ḳhast
haa.e kāshāna-e-be-ḳhas kā makīñ tū bhī nahīñ
zīnat-e-sāya-e-dīvār-e-makāñ merā gumāñ
aur koī bhī nahīñ sāya-nashīñ tū bhī nahīñ
rūh-e-pazh-murda-e-taḳhayyul lab-o-mus.haf-e-nāz
is udāsī kā sabab mere ta.iiñ tū bhī nahīñ
fitrat-e-gardish-e-ālām-e-taġhayyur se varā
ḳhūgar-e-aish magar maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ