Hadis Salsal

KHwahish-e-mewa-e-tar ho ye zaruri to nahin

Hadis Salsal

Haranpur, Punjab, Pakistan

1995
ḳhvāhish-e-meva-e-tar ho ye zarūrī to nahīñ
har koī ḳhuld-badar ho ye zarūrī to nahīñ
tesha-e-ġham ko sanam-sāzī-e-hastī se ġharaz
sañg vābasta-e-dar ho ye zarūrī to nahīñ
maiñ huuñ ālūda ba-ḳhūn-e-jigar-o-ḳhāk-e-jahāñ
vo tirī rāhguzar ho ye zarūrī to nahīñ
kuchh jamāl-e-kam-o-kaj-bīnī-e-ḳhush-chashm bhī hai
sab tirā husn-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
ai hunar-mand-e-jarāhat talab-e-ḳhāma tujhe
dāva-e-zaḳhm-e-hunar ho ye zarūrī to nahīñ
rāñda-e-halqa-e-āġhosh pas andesha-e-jamāl
terā manzūr-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
lafz-e-sir meñ mire eraab tarāz-e-muḳhlis
zer kī jā pe zabar ho ye zarūrī to nahīñ
ye bhī malzūm nahīñ to ho giraftār-e-ḳhirad
mujh ko bhī apnī ḳhabar ho ye zarūrī to nahīñ
ba.ad-e-taqrīb-e-tamannā.ī-e-nazzāra-e-tūr
tāqat-o-tāb-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
ālam-e-be-ḳhūdī-e-ishrat-e-be-ġhāyat hai
ruuh masrūr magar ho ye zarūrī to nahīñ
hai mai-e-shauq meñ āmezish-e-talḳhāb-e-gumāñ
phir bhī taḳhfīf-e-asar ho ye zarūrī to nahīñ
dil ba-afzā.ish-e-ḳhuddārī-e-āhañg-e-suḳhan
ḳhā.ef-e-ahl-e-nazar ho ye zarūrī to nahīñ
pīrī-e-ishq se huuñ sehat-e-ma.ashūq-shikār
dil tavānā-e-jigar ho ye zarūrī to nahīñ
sūrat-e-qurb-e-musalsal bhī nikal saktī hai
baam par umr basar ho ye zarūrī to nahīñ
bas ki ik vasvasa-e-barg-e-ḳhizāñ-dīda hai
ḳhuld-e-imkāñ meñ shajar ho ye ye zarūrī to nahīñ
inhisār-e-ġham-e-hastī ba-ġham-e-marg-e-havas
'hādis'-e-ḳhāk-basar ho ye zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com