Ali Iftikhar Jafri

bar-sar-e-baad hua apna Thikana sar-e-rah

Ali Iftikhar Jafri

1969
bar-sar-e-bād huā apnā Thikānā sar-e-rāh
kaam aayā mirā āvāz lagānā sar-e-rāh
dosto fart-e-junūñ raah badaltā hai mirī
kis ne chāhā thā tumheñ chhoḌ ke jaanā sar-e-rāh
dil mulāqāt kā ḳhvāhāñ ho to ḳhaak uḌtī hai
bach ke chaltā huuñ to miltā hai zamānā sar-e-rāh
ye jo miTTī tan-e-bāqī kī liye phirtā huuñ
chhoḌ jā.ūñgā kahīñ ye bhī ḳhazānā sar-e-rāh
tum kisī sañg pe ab sar ko Tikā kar so jaao
kaun suntā hai shab-e-ġham kā fasānā sar-e-rāh
rah-e-duniyā meñ Thaharnā to nahīñ thā dil ko
mil gayā hogā koī ḳhvāb purānā sar-e-rāh
Top Urdushayar.com