Ali Iftikhar Jafri

rang-e-mahfil se fuzun-tar meri hairani hai

Ali Iftikhar Jafri

1969
rañg-e-mahfil se fuzūñ-tar mirī hairānī hai
pairahan bā.is-e-izzat hai na uryānī hai
niind aatī hai magar jaag rahā huuñ sar-e-ḳhvāb
aañkh lagtī hai to ye umr guzar jaanī hai
aur kyā hai tirī duniyā meñ sivā-e-man-o-tū
minnat-e-ġhair kī zillat hai jahāñbānī hai
chuum lo us ko isī ālam-e-madhoshī meñ
āḳhir-e-ḳhvāb vahī be-sar-o-sāmānī hai
apne sāmāñ meñ tasāvīr-e-butāñ haiñ ye ḳhutūt
kuchh lakīreñ haiñ kaf-e-dast hai peshānī hai
Top Urdushayar.com