chaman meñ vo farāmoshī kā mausam thā maiñ ḳhud ko bhī
zamīñ par barg-e-āvāra nazar aayā to yaad aayā
abhī ik nisbat-e-dār-o-rasan kā qarz baaqī hai
farāz jaah o mansab se utar aayā to yaad aayā
bhulāyā gardish-e-ayyām ne dast-e-pidar yuuñ to
magar jab moḌ koī pur-ḳhatar aayā to yaad aayā
kisī kī aañkh kā taarā huā karte the ham bhī to
achānak shaam kā taarā nazar aayā to yaad aayā
bharā bāzār thā kuchh jins-e-jāñ ke daam lag jaate
shahādat-gāh-e-duniyā se guzar aayā to yaad aayā