aap nūr-afshāñ haiñ raat ke añdhere meñ
yā sitāre raqsāñ haiñ raat ke añdhere meñ
ek din vo zarroñ ko āftāb kar leñge
dhuup ke jo ḳhvāhāñ haiñ raat ke añdhere meñ
kyuuñ nahīñ jalā lete āñsuoñ kī qindīleñ
log kyuuñ hirāsāñ haiñ raat ke añdhere meñ
ḳhaufnāk āvāzeñ vahshiyoñ ke hañgāme
raunaq-e-bayābāñ haiñ raat ke añdhere meñ
raushnī to pahuñchī hai sirf chand logoñ tak
ab bhī kitne insāñ haiñ raat ke añdhere meñ
din kī raushnī meñ jo sab se be-takalluf hai
ham se kyuuñ gurezāñ haiñ raat ke añdhere meñ
tīrgī se laḌne kā hausla nahīñ jin meñ
an ke jism larzāñ haiñ raat ke añdhere meñ
ujle ujle chehroñ par aks dilrubā.ī ke
kis qadar numāyāñ haiñ raat ke añdhere meñ
DhūñDte haiñ sab apne apne ham-navāoñ ko
aa.ine pareshāñ haiñ raat ke añdhere meñ
kis ke naqsh-hā-e-pā rahnumā hue 'ādil'
rāste daraḳhshāñ haiñ raat ke añdhere meñ