sajā.eñ mahfil-e-yārāñ na shaġhl-e-jām kareñ
to aur kaise tire ġham kā ehtirām kareñ
kise bulā.eñ chanāroñ meñ aadhī raat ga.e
agar kareñ to kise sub.h kā salām kareñ
basā.eñ qāf-e-tasavvur meñ ik parī-vash ko
kuchh aaj ishrat-e-hijrāñ kā ehtimām kareñ
julūs-e-shola-ruḳhāñ kis taraf ko guzregā
koī batā.e kahāñ ahl-e-dil qayām kareñ
chalo ki ḳhema-e-mahbūb koī duur nahīñ
uTho ki aaj kī shab meñ junūñ kā naam kareñ
hamāre jaam meñ mai bhī hai ḳhūn-e-dil bhī hai
ye dekhnā hai ḳhudā vaale kyā harām kareñ