Shahid Akhtar

aap ke izn-e-mulaqat se ji Darta hai

Shahid Akhtar

1964
aap ke izn-e-mulāqāt se jī Dartā hai
apne badle hue hālāt se jī Dartā hai
aap tajdīd-e-mohabbat kā na diije paiġhām
aap kī chashm-e-ināyāt se jī Dartā hai
kal ye aalam thā ki har baat pe hañs dete the
ab ye aalam hai ki har baat se jī Dartā hai
ham-nashīno zarā kuchh der mire saath raho
aaj tanhā.ī ke lamhāt se jī Dartā hai
dil meñ jab sozish-e-ġham aag lagā detī hai
chashm-e-afsurda kī barsāt se jī Dartā hai
chāhtā huuñ ki ye dil shahr-e-nigārāñ ho magar
itnī rañgīnī-e-jazbāt se jī Dartā hai
zaḳhm kuchh aur sulag jaate haiñ dal ke 'shāhid'
ab to is tāroñ bharī raat se jī Dartā hai
Top Urdushayar.com