Shahid Akhtar

jab apna muqaddar Thahre hain zaKHmon ke gulistan aur sahi

Shahid Akhtar

1964
jab apnā muqaddar Thahre haiñ zaḳhmoñ ke gulistāñ aur sahī
kuchh surḳhī-e-ḳhanjar aur sivā rañgīnī-e-dāmāñ aur sahī
dildārī-e-dast-e-qātil ko baaqī haiñ hamīñ to aao chalo
is kūcha-e-jānāñ meñ yaaro ik jashn-e-charāġhāñ aur sahī
kaTte haiñ kaTeñ bāzū-o-gulū bahtā hai bahe gulnār-e-lahū
ik mārka-e-dil aur sahī ik mārka-e-jāñ aur sahī
kaTte hī kaTegī hijr kī shab liye dard chalo tā-sub.h-e-tarab
in shauq kī maarī āñkhoñ se kuchh va.ada-o-paimāñ aur sahī
bichhne do bisāt-e-zīst agar jiite to sar-afrāzī varna
sab haare hue to baiThe ho ye naqd-e-dil-o-jāñ aur sahī
Top Urdushayar.com