kisī kī zulf-e-shikan-dar-shikan kī baat huī
hamāre vāste dār-o-rasan kī baat huī
kabhī dhanak pe kabhī chāñdnī pe haath paḌā
jo tere jism kī tere badan kī baat huī
ik aah dil se uThī aur laboñ pe TuuT ga.ī
kabhī kahīñ jo tirī anjuman kī baat huī
zahe-nasīb ki terā bhī naam aayā hai
jahāñ jahāñ mire dīvāna-pan kī baat huī
hazār rañg nigāhoñ meñ ghul ga.e 'shāhid'
agar kahīñ kisī gul-pairahan kī baat huī