yuuñ to is bazm meñ apne bhī haiñ begāne bhī
lekin ab dekhiye koī hameñ pahchāne bhī
āshnā raah meñ katrā ke guzar jaate haiñ
apne hī shahr meñ ham ho ga.e anjāne bhī
ab kahāñ jaa.eñ ki us se bhī ta.alluq na rahā
apnā ghar yaad nahīñ band haiñ maiḳhāne bhī
fikr-e-dāmāñ hai na kuchh jaib-o-garebāñ kī ḳhabar
kitne ārām se haiñ aap ke dīvāne bhī
yuuñ ta.āruf na sahī aap se lekin 'shāhid'
sunte aa.e haiñ bahut aap ke afsāne bhī