ba-zāhir yuuñ to maiñ simTā huā huuñ
agar socho to phir bikhrā huā huuñ
mujhe dekho tasavvur kī nazar se
tumhārī zaat meñ utrā huā huuñ
sunā de phir koī jhūTī kahānī
maiñ pichhlī raat kā jaagā huā huuñ
kabhī bahtā huā dariyā kabhī maiñ
sulagtī ret kā sahrā huā huuñ
jab apnī umr ke logoñ meñ baiThūñ
ye lagtā hai ki maiñ būḌhā huā huuñ
kahāñ le jā.egī 'tābish' na jaane
havā ke dosh par Thahrā huā huuñ