Zafar Tabish

gir gae jab sabz manzar TuT kar

Zafar Tabish

Delhi, India

1957
gir ga.e jab sabz manzar TuuT kar
rah gayā maiñ apne andar TuuT kar
so rahe the shahr bhī jañgal bhī jab
ro rahā thā niilā ambar TuuT kar
maiñ simaT jā.ūñgā ḳhud hī dosto
maiñ bikhar jaatā huuñ aksar TuuT kar
aur bhī ghar āñdhiyoñ kī zad meñ the
gir gayā us kā hī kyuuñ ghar TuuT kar
ro rahā hai aaj bhī taqdīr par
sabz-gumbad se vo patthar TuuT kar
ab nahīñ hotā mujhe ehsās kuchh
maiñ huuñ ab pahle se behtar TuuT kar
chand hī lamhoñ meñ 'tābish' bah gayā
merī āñkhoñ se samundar TuuT kar
Top Urdushayar.com