Zafar Tabish

basti basti jangal jangal ghuma main

Zafar Tabish

Delhi, India

1957
bastī bastī jañgal jañgal ghūmā maiñ
lekin apne ghar meñ aa kar soyā maiñ
jab bhī thakan mahsūs huī hai raste kī
būḌhe-bargad ke saa.e meñ baiThā maiñ
kyā dekhā thā āḳhir merī āñkhoñ ne
chalte chalte raste meñ kyuuñ Thahrā maiñ
jab bhī jhuk kar miltā huuñ maiñ logoñ se
ho jaatā huuñ apne qad se ūñchā maiñ
ThanDe mausam se bhī maiñ jal jaatā huuñ
sūkhī bārish meñ bhī aksar bhīgā maiñ
jab jab bachche būḌhī bāteñ karte haiñ
yuuñ lagtā hai dekh rahā huuñ sapnā maiñ
saare manzar suune suune lagte haiñ
kaisī bastī meñ 'tābish' aa pahuñchā maiñ
Top Urdushayar.com