zor us par hai na hālāt pe qaabū yaaro
jaane ab kyā ho mulāqāt kā pahlū yaaro
kitne zaḳhmoñ ke tabassum kā pata dete haiñ
merī palkoñ pe sulagte hue jugnū yaaro
zaḳhm is taur se mahke haiñ sar-e-shām-e-firāq
duur tak phail ga.ī dard kī ḳhushbū yaaro
kitne ḳhvāboñ ko nichoḌā hai to un āñkhoñ se
aaj Tapkā hai ye jaltā huā aañsū yaaro
donoñ aalam mirī bāñhoñ meñ simaT aa.e the
raat shānoñ pe pareshāñ the vo gesū yaaro
log kahte the na pighlegā vo patthar 'shāhid'
tum ne dekhā mire ash.ār kā jaadū yaaro