saa.e ko dhuup dhuup ko saayā banā liyā
ik lamha-e-visāl ne kyā kyā banā liyā
ik shahr-e-nā-shanās meñ jaane kī der thī
begānagī ne mujh ko tamāshā banā liyā
āvārgān-e-shauq kā raste meñ thā hujūm
maiñ ne magar hujūm meñ rastā banā liyā
ḳhvāboñ kī maiñ ne ek imārat banā.ī aur
yādoñ kā us meñ ek darīcha banā liyā
itnī sī baat hai ki use mil nahīñ sakā
us ne baḌhā ke baat ko jhagḌā banā liyā