Khurshid Rabbani

salib-e-dard pe wara gaya tha kyun mujhko

Khurshid Rabbani

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1973
salīb-e-dard pe vaarā gayā thā kyuuñ mujh ko
ġham-e-firāq se maarā gayā thā kyuuñ mujh ko
kisī ḳhayāl kisī ḳhvāb ke jazīre par
tamām umr guzārā gayā thā kyuuñ mujh ko
palaT rahā thā dar-e-ḳhvāb se jo ḳhālī haath
to baar baar pukārā gayā thā kyuuñ mujh ko
kaf-e-gumāñ se jo girnā thā umr bhar ke liye
to ek pal ko sarāhā gayā thā kyuuñ mujh ko
agar nahīñ thā yahāñ koī muntazir merā
to phir falak se utārā gayā thā kyuuñ mujh ko
kisī ne merī taraf dekhnā na thā 'ḳhurshīd'
to be-sabab hī sañvārā gayā thā kyuuñ mujh ko
Top Urdushayar.com