Khurshid Rabbani

tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai

Khurshid Rabbani

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1973
tire firāq meñ jo aañkh se ravāñ huā hai
vo ashk-e-ḳhūñ hī mire ġham kā tarjumāñ huā hai
hai jaane kyā pas-e-dīvār ā.īna jis par
yaqīn kar ke bhī dil vaqf-e-sad-gumāñ huā hai
burīda shāḳh-e-shajar kā shikasta pattoñ kā
tire sivā bhī koī mauja-e-ḳhizāñ huā hai
zarā sī der ko us ne palaT ke dekhā thā
zarā sī baat kā charchā kahāñ kahāñ huā hai
bichhaḌ ke tujh se thā 'ḳhurshīd' kā Thikāna kyā
ḳhushā-nasīb shab-e-ġham kā āstāñ huā hai
Top Urdushayar.com