koī gulāb kabhī us kā dil dukhāyā thā
so regzār pe bhī vahshatoñ kā saayā thā
utar ke shāḳh se ik ek zard patte ne
na.ī rutoñ ke liye rāsta banāyā thā
vo shāḳh-e-sāyā-e-iḳhlās kaT ga.ī ik roz
tapish se jis ne mujhe umr bhar bachāyā thā
shajar shajar ko nishāna banāne vaalo tumheñ
ḳhayāl bhī na kisī ghoñsle kā aayā thā
kisī ḳhayāl kisī ḳhvāb ke liye 'ḳhurshīd'
diyā darīche meñ rakkhā thā dil jalāyā thā