jab us ne nahīñ dekhā jab us ko nahīñ bhaa.ī
kis kaam kī ārā.ish kis kaam kī zebā.ī
ye kār-e-mohabbat bhī kyā kār-e-mohabbat hai
ik harf-e-tamannā hai aur us kī pazīrā.ī
ik pal kī masāfat thī is dil se tire dil tak
is raah meñ bhī lekin ik umr bitā aa.ī
jab koī use dekhe bas dekhtā rah jaa.e
ye husn kī ḳhūbī hai ye husn kī yaktā.ī
ye mauj-e-havā yūñhī itrātī nahīñ phirtī
us phuul se mil aa.ī ḳhushbū bhī churā laa.ī
ik zard sā patta thā jab shāḳh se bichhḌā thā
maiñ raah meñ bikhrā thā jab mauj-e-havā aa.ī