Khurshid Rabbani

dil o nigah mein kuchh is tarah sama gai hai

Khurshid Rabbani

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1973
dil o nigāh meñ kuchh is tarah samā ga.ī hai
tirī nazar to mujhe ā.īna banā ga.ī hai
havā-e-tāza kā jhoñkā idhar se kyā guzrā
gire paḌe hue pattoñ meñ jaan aa ga.ī hai
mire ġhamoñ kā mudāvā karegā kyā koī
shikast-shīsha-e-dil kī kahīñ sadā ga.ī hai
ye dil ki zard paḌā thā ka.ī zamānoñ se
maiñ terā naam liyā aur bahār aa ga.ī hai
bhulā diyā hai use naaz uThāne vāloñ ne
isī liye to use merī yaad aa ga.ī hai
Top Urdushayar.com